Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Lyrics in hindi | Owais Raza Qadri

Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Lyrics in hindi 


Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Lyrics in hindi Details- Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga is one of the best naat sharif of all times which is recited by in a beutifull voice of Alhaj Owais Raza Qadri


Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Lyrics in hindi | Owais Raza Qadri



Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga

Hamara Bigda Huwa Kaam Bann Gaya Hoga


Gunahgaar Pe Jab Lutf Aapka Hoga

Kiya Bagair Kiya Be-Kiya Kiya Hoga


Khuda Ka Lutf Huwa Hoga Dastageer Zaroor

Jo Girte Girte Tera Naam Le Liya Hoga


Dikhayi Jayegi Mehshar Mein Shaan E Mehboobi

Ke Aap Hi Ki Khushi Aapka Kaha Hoga


Khuda E Paak Ki Chahenge Agle Pichle Khushi

Khuda E Paak Khushi Unki Chahta Hoga


Kisi Ke Paanv Ki Bedi Ye Kaat-te Honge

Koyi Aseer E Gham Unko Pukarta Hoga


Kisi Taraf Se Sada Aayegi Huzoor Aao

Nahi To Damm Mein Ghareebo Ka Faysla Hoga


Kisi Ke Palle Pe Ye Honge Waqt E Wazn E Amal

Koyi Ummeed Se Muh Unnka Tak Raha Hoga


Koyi Kahega Duhayi Hai Ya RasoolAllah

To Koyi Thaam Ke Daman Machal Gaya Hoga


Kisi Ko Le Ke Chalenge Firishte Suwe Jaheem

Woh Unka Raasta Phir Phir Ke Dekhta Hoga


Shikashta Pa Hu Mere Haal Ki Khabar Kar Do

Koyi Kisi Ye Ro Ro Ke Keh Raha Hoga


Khuda Ke Waaste Jald Unse Arz E Haal Karo

Kise Khabar Hai Ke Damm Bhar Mein Haaye Kya Hoga


Pakad Ke Haath Koyi Haal E Dil Sunayega

To Ro Ke Qadmo(n) Se Koyi Lipat Gaya Hoga


Zaban Sukhi Dikha Kar Koyi Lab E Kausar

Janaab E Paak Ke Qadmo Pe Gir Gaya Hoga


Nishaan E Khushrave Di Door Ki Ghulamo Ko

Liwaye Hamd Ka Parcham Bata Raha Hoga


Koyi Qareeb E Tarazu Koyi Lab E Kausar

Koyi Siraat Se Unko Pukaarta Hoga


Ye Beqaraar Karegi Sadaa Ghareebo Ki

Muqaddas Aankhon Se Taar Ashq Ka Bandha Hoga


Wo Paak Dil Ke Nahi Jisko Apna Andesha

Hujoom E Fiqr O Taraddud Mein Ghir Gaya Hoga


Hazaar Jaan Fida Narm Narm Pau Se

Pukaar Sun Ke Aseero(n) Ki Daudta Hoga


Azeez Bachhe Ko Maa(n) Jis Tarah Talaash Kare

Khuda Gawah Wahi Haal Aapka Hoga


Khudayi Bhar Inhi Haathon Ko Dekhti Hogi

Zamana Bhar Inhi Qadmo(n) Pe Laut-ta Hoga


Bani Hai Damm Pe Duhayi Hai Taaj Waale Ki

Ye Ghul Ye Shour Ye Hungame Ja-Ba-Ja Hoga


Maqaam Faasilo(n) Par Kaam Mukhtalif Itne

Ye Din Zuhoor E Kamaal E Huzoor Ka Hoga


Kahenge Aur Nabi “Iz Habu Ila Gayri”

Mere Huzoor Ke Lab Par “Ana Laha” Hoga


Dua E Ummate Badkaar Wird E Lab Hogi

Khuda Ke Saamne Sajdeh Mein Sarr Jhuka Hoga


Ghulam Unki Inayat Se Chayn Mein Honge

Aduu Huzoor Ka Aafat Mein Mubtala Hoga


Main Unke Dar Ka Bhikari Hu Fazl E Maula Se

Hasan Faqeer Ka Jannat Mein Bistara Hoga



Read More:

Post a Comment

0 Comments